Madiralay
10 October 2001 kee baat hai. Main apne ghar thaka haara lauta. Man kuchh ashaant tha. Chah kar bhi jab neend nahin aa rahee thee, toh apni padhai kee mez par baithh kar kuchh chitra banane laga. Sahsa hee Madhushala kee kuchh panktiyan smriti mein ubhar aayeen aur anayaas hee mere haath ek naye kavya sangraha kee rachna karne lage. Aaj Madiralay 65 rubayiyon ka ek kavya sangraha ho chuka hai. Yeh meri chhoti see bhent hai us mahan rachnakaar ko jisne apni kalam aur roshnayi se asankhya bhaartiyon kee atma par apna naam ankit kiya hai !
MADIRALAY
Bahut dino ke baad mile ho,
Itne din tak kahan rahe?
Yaad mujhe bhi karte the kya,
Jahan gaye the jahan rahe?
Haal tumhara poochhunga sab
Par pehle vishram karo
Shaam dhale fir aaj chalenge,
Hum tum dono Madiralay!
*
Tum bin jeevan ras pheeka tha
Aashayein bhi dabi dabi.
Hasya vinod sabhi jhoothe the,
Sangi saathi vyartha sabhi.
Jab bhi tumko yaad kiya
Aur aankhein bharne ko aayeen
Mere sammukh marg ek tha
Joh Jaata tha Madiralay!
*
Aankhon mein thee pyas milan kee
Geet virah ke gaata tha.
Jis dish dekhein netra usi dish,
Roop tumhara paata tha.
Tum kya roothe jeevan rootha,
Jeevan kee aasha roothi.
Ek bachi bas yaad tumhari,
Ek bacha bas Madiralay!
*
Madira kee paavan vaitarni
Mujhko paas bulati thee,
Kashts hriday ka har leti thee,
Hans kar gale lagati thee.
Kehti thee “Yeh snehalingan,
Tum par vaaroon nitya priye,
Bahupaash mein mujhko bhar lo
Aakar ke tum Madiralay! ”
*
Ek roz pran baandh chala main,
Aaj khoj hee chhodunga.
Maryada kee seemaon ko
Dridha sankalp se todunga.
Rok sake toh rok le mujhko
Dekhun kya karta hai Jag?
Ab na pag peechhe modunga
Chala dhoondhne Madiralay!
*
Lok laaj samman hain jhhoothe,
Jhhothi prem pipasha hai.
Aan maan maryada jhhoothi,
Jhhoothi har abhilasha hai.
Jhhootha jag ka sang, hain jhhoothe
Sangi saathi sehwasi.
Jhhoothhi ichchaa, jhhootha jeevan,
Ek na jhhootha Madiralay!
*
Tumse baat chhipani kaisee?
Aaj bol hee deta hoon!
Jis par saadhe maun raha woh
Bhed khol hee deta hoon.
Yauvan jaise sura, adhar ghat,
Prem tumhara masti hai.
Tum hee saakibala priyatam,
Tum hee mera Madiralay!
*
Yeh lavanyamayi kad kaya
Uspar roop chhavi sundar.
Kesh hain jaise saandhya kaalima,
Netra suramrit ratnakar.
Na tum jaisa madhur, na koi
Tumsa maadak aur priye.
Aur jagat mein kaun bhala hai
Tumse badhkar Madiralay?
*
Pushp-maal mandir mein chadhte
Madiralay mein pyala hai.
Wahan sajein aaradhya deviyan,
Yahan pe saakibala hai.
Mantra padhein mandir mein, goonje
Yahan madir geeton ke swar.
Wahan pe royein pandit, naache
Yahan khushi se Madiralay!
*
Tum toh thehre brahma upasak,
Main madira peene waala.
Tumko pyare ved aur geeta,
Mujhko pyara hai pyala.
Tum poojo shivling, main poojun
Pyale aur suraghat ko.
Jaise tum mandir jaate ho,
Main jaata hoon Madiralay!
*